zindagi aaina hai aaina-arai hai
ajnabi bhi hai wahi jis se shanasai hai
sang-dil samne aata hai to ye sochta hun
aarzu husn ki diwar se Takrai hai
aaj ki raat bhi karta hai koi kufr ki baat
chand ke phul mein shabnam ki sharab aai hai
kis ko is daur mein hai fursat-e-ishq-e-KHuban
aag tere lab o ruKHsar ne barsai hai
tu nahin hai to har ek jura-e-mahtab-sifat
yaad ki aankh se Tapki hui tanhai hai
dil wo sahra hai jahan hasrat-e-saya bhi nahin
dil wo duniya hai jahan rang hai ranai hai
Ghazal
Zindagi aaina hai aaina-arai hai
Ata Shad