zindagani sarab ki si tarah
baad-bandi hubab ki si tarah
tujh upar KHun be-gunahon ka
chaDh raha hai sharab ki si tarah
kaun chahega ghar basar tujh ko
mujh se KHana-KHarab ki si tarah
Tuk KHabar le ki tere hathon sin
jal raha hun kabab ki si tarah
Ghazal
Zindagani sarab ki si tarah
Abroo Shah Mubarak

