zindagani ranj aur gham ke siwa kuchh bhi nahin
uf ki har-dam sog-o-matam ke siwa kuchh bhi nahin
roz-o-shab apne guzar jaana dayar-e-ghair mein
dastan-e-azm-e-mohkam ke siwa kuchh bhi nahin
kaun dahshat-gard hai aur kaun hai dahshat-zada
ye sab ek ibham-e-paiham ke siwa kuchh bhi nahin
gunjti hai KHamushi har-dam jo mere chaar-su
dar-haqiqat shor-e-alam ke siwa kuchh bhi nahin
tum jise samjhe ho duniya us ke aanchal ke tale
gesuon ke pech aur KHam ke siwa kuchh bhi nahin
dekhta rahta hai bandon par musalsal saKHtiyan
kya KHuda ek ism-e-azam ke siwa kuchh bhi nahin
dewta si fikr aur tarz-e-amal ke bawajud
aadmi bas ibn-e-adam ke siwa kuchh bhi nahin
Ghazal
Zindagani ranj aur gham ke siwa kuchh bhi nahin
Chandrabhan Khayal