zinda rahne ki ye tarkib nikali main ne
apne hone ki KHabar sab se chhupa li main ne
jab zamin ret ki manind sarakti pai
aasman tham liya jaan bacha li main ne
apne suraj ki tamazat ka bharam rakhne ko
narm chhanw mein kaDi dhup mila li main ne
marhala koi judai ka jo darpesh hua
to tabassum ki rida gham ko uDha li main ne
ek lamhe ko teri samt se uTTha baadal
aur barish ki si ummid laga li main ne
baad muddat mujhe nind aai baDe chain ki nind
KHak jab oDh li aur KHak bichha li main ne
jo 'alina' ne sar-e-arsh dua bheji thi
us ki tasir yahin farsh pe pa li main ne
Ghazal
Zinda rahne ki ye tarkib nikali maine
Aleena Itrat