zinda rahne ka bharam aa ke kahan par TuTa
ek sitara sa meri shah-rag-e-jaan par TuTa
ghair-mumkin hai meri KHak uData koi
main ki KHud apni tabahi ke nishan par TuTa
sud-dar-sud murawwat meri kaam aai hai
jab main iKHlas ki mizan-e-ziyan par TuTa
zahr sa phail chuka hai meri shiryanon mein
kaun sa harf meri nok-e-zaban par TuTa
siskiyan bhar ke 'sharar' kaun wahan rota tha
KHema-e-KHwab sar-e-sham jahan par TuTa
Ghazal
Zinda rahne ka bharam aa ke kahan par TuTa
Kaleem Haider Sharar