zist ka hasil banaya dil jo goya kuchh na tha
gham ne dil ko dil banaya warna kya tha kuchh na tha
wo to mere samne the dekhne ki der thi
main ne aankhen band kar lin warna parda kuchh na tha
ya alam-koshi rahi ya KHud-faramoshi rahi
dil kisi din dil na tha ya dard tha ya kuchh na tha
kuchh samajh kar KHud hi hum ne jaan de di dil ke sath
un ki nazron ka abhi aisa taqaza kuchh na tha
aap ka diwana tha ye iddaa baatil sahi
'fani'-e-diwana diwana bhi tha ya kuchh na tha
Ghazal
Zist ka hasil banaya dil jo goya kuchh na tha
Fani Badayuni