zehn pareshan ho jata hai aur bhi kuchh tanhai mein
taza ho jati hain choTen sab jaise purwai mein
us ko to jaana tha lekin mera kyun ye haal hua
angnai se kamre mein aur kamre se angnai mein
us ke dil ka bhed usi ki aaankhon se mil sakta tha
kis mein himmat hai jo utre jhilon ki gahrai mein
ek hi ghar ke rahne wale ek hi aangan ek hi duwar
jaane kyun baDhti jati hai nafrat bhai bhai mein
nur basirat ka baKHsha kal tak main ne jin ko 'zubair'
farq nazar aata hai un ko ab meri binai mein
Ghazal
Zehn pareshan ho jata hai aur bhi kuchh tanhai mein
Zubair Amrohvi