zehn o dil ke fasle the hum jinhen sahte rahe
ek hi ghar mein bahut se ajnabi rahte rahe
dur tak sahil pe dil ke aablon ka aks tha
kashtiyan sholon ki dariya mom ke bahte rahe
kaise pahunche manzilon tak wahshaton ke qafile
hum sarabon se safar ki dastan kahte rahe
aane wale mausamon ko tazgi milti gai
apni fasl-e-arzu ko hum KHizan kahte rahe
kaise miT paengi 'zarrin' ye haden afkar ki
TuT kar dil ke kinare dur tak bahte rahe
Ghazal
Zehn o dil ke fasle the hum jinhen sahte rahe
Iffat Zarrin