zehn mein kuchh qayas rahta hai
nisf KHali gilas rahta hai
har taraf rang-o-nur hai phir bhi
shahr kyun kar udas rahta hai
muflisi mein bhi hath phailaen
kuchh to izzat ka pas rahta hai
amn ka qatl ho gaya jab se
shahr ab bad-hawas rahta hai
tez raftar zindagani mein
hadisa aas-pas rahta hai
daur patthar ka phir se lauT aaya
ab jahan be-libas rahta hai
hum faqiron ka tarz hai 'sabir'
tan pe sada libas rahta hai

Ghazal
Zehn mein kuchh qayas rahta hai
Sabir Shah Sabir