zehn mein kaun se aaseb ka Dar bandh liya
tum ne puchha bhi nahin raKHt-e-safar bandh liya
be-makani ki bhi tahzib hua karti hai
un parindon ne bhi ek ek shajar bandh liya
raste mein kahin gir jae to majburi hai
main ne daman-e-darida mein hunar bandh liya
apne daman pe nazar kar mere hathon pe na ja
main ne pathrao kiya tu ne samar bandh liya
ghar khula chhoD ke chupke se nikal jaunga
sham hi se sar-o-saman-e-sahar bandh liya
umr bhar main ne bhi sahil ke qaside likkhe
mere bachchon ne bhi ek ret ka ghar bandh liya
haar bedard hawaon se na mani 'qaisar'
baadban phenk ke qadmon se bhanwar bandh liya
Ghazal
Zehn mein kaun se aaseb ka Dar bandh liya
Qaisar-ul-Jafri