zehn mein aur koi Dar nahin rahne deta
shor andar ka hamein ghar nahin rahne deta
koi KHuddar bacha le to bacha le warna
peT kandhon pe koi sar nahin rahne deta
aasman bhi wo dikhata hai parindon ko nae
han magar un pe koi par nahin rahne deta
KHushk aankhon mein utar aata hai baadal ban kar
dard ehsas ko banjar nahin rahne deta
ek poras bhi to rahta hai hamare andar
jo sikandar ko sikandar nahin rahne deta
un mein ek ret ke dariya sa Thahar jata hai
KHauf aankhon mein samundar nahin rahne deta
hadson ka hai dhundlaka sa 'dwij' aankhon mein
KHub-surat koi manzar nahin rahne deta

Ghazal
Zehn mein aur koi Dar nahin rahne deta
Dwijendra Dwij