اردو हिंदी
Zard mausam ki musibat jagi | Shaahi Shayari
zard mausam ki musibat jagi

Ghazal

Zard mausam ki musibat jagi

Parkash Tiwari

;

zard mausam ki musibat jagi
patte TuTe to haqiqat jagi

dard sath apne dawa bhi laya
zaKHm nikle to jarahat jagi

chaak-daman hua to hosh aaya
jab uDe hosh basirat jagi

inT patthar ke alawa kya tha
jal gaya ghar to sadaqat jagi

chand nikla to mere pahlu mein
teri KHwabida mohabbat jagi

jhilmilane lage palkon pe charagh
dil mein jab dard ki shiddat jagi

hum badalte rahe pahlu 'parkash'
dard soya na mohabbat jagi