zara si raat aur itna sawab kafi hai
meri nazar ko faqat tera KHwab kafi hai
main chahti nahin mujh ko waraq waraq likh de
sar-waraq hai jo ek intisab kafi hai
main kya karungi ye itni kahaniyan le kar
mere liye to faqat ek kitab kafi hai
main apni pyas ko mahsus kar ke jiti hun
samundaron ki talab kya sarab kafi hai
main tujh se milti hun 'farhat' to KHauf aata hai
ki mujh pe tera purana hisab kafi hai
nahin hain lafz mayassar to phir tassur bhej
kisi bhi shakl mein ho ek jawab kafi hai
KHayal-e-yar kahan hai koi batae use
mere liye wahi KHana-KHarab kafi hai
Ghazal
Zara si raat aur itna sawab kafi hai
Farhat Nadir Rizwi