zara si dhup zara si nami ke aane se
main ji uTha hun zara tazgi ke aane se
udas ho gae ek pal mein shadman chehre
mere labon pe zara si hansi ke aane se
dukhon ke yar bichhaDne lage hain ab mujh se
ye saneha bhi hua hai KHushi ke aane se
karaKHt hone lage hain bujhe hue lahje
mere mizaj mein shaistagi ke aane se
bahut sukun se rahte the hum andhere mein
fasad paida hua raushni ke aane se
yaqin hota nahin shahr-e-dil achanak yun
badal gaya hai kisi ajnabi ke aane se
main rote rote achanak hi hans paDa 'alam'
tamash-binon mein sanjidgi ke aane se
Ghazal
Zara si dhup zara si nami ke aane se
Alam Khursheed