اردو हिंदी
Zara sa imkan kis qadar tha | Shaahi Shayari
zara sa imkan kis qadar tha

Ghazal

Zara sa imkan kis qadar tha

Rajinder Manchanda Bani

;

zara sa imkan kis qadar tha
faza mein haijaan kis qadar tha

main kis qadar tha qarib us ke
wo meri pahchan kis qadar tha

libas par tha zara sa ek dagh
badan pareshan kis qadar tha

yahi ki us se kabhi na TuTe
hamein ki ek dhyan kis qadar tha

na jaane kya log bichhDe honge
wo moD sunsan kis qadar tha

wo sare gham kya hue KHudaya
ye dil ki gunjaan kis qadar tha

bahaal ho jaen phir wo rishte
use bhi arman kis qadar tha

bhaTak gae kitne log 'bani'
nae ka rujhan kis qadar tha