zara gham-zadon ke bhi gham-KHwar rahna
karen naz to naz-bardar rahna
faraKHi-o-usrat mein shadi-o-gham mein
bahar-haal yaron ke tum yar rahna
samajh nardban apni nakaamiyon ko
ki hai shart-e-himmat talabgar rahna
karo shukr hai ye inayat KHuda ki
balaon mein aksar giraftar rahna
agar aadmi ko na ho mashghala kuchh
bahisht-e-barin mein ho dushwar rahna
KHabar bhi hai aadam se jannat chhuTTi kyun
KHilaf-e-jibillat tha be-kar rahna
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazalan-e-shahri se hoshyar rahna

Ghazal
Zara gham-zadon ke bhi gham-KHwar rahna
Ismail Merathi