zamir-e-KHak shah-e-do-sara mein raushan hai
mera KHuda mere harf-e-dua mein raushan hai
wo aandhiyan thin ki main kab ka bujh gaya hota
charagh-e-zat bhi hamd-o-sana mein raushan hai
main apni man ke wasile se zinda-tar Thahrun
ki wo lahu mere sabr-o-raza mein raushan hai
main baDh raha hun udhar ya wo aa raha hai idhar
wahi KHushi wahi KHushbu hawa mein raushan hai
kahin bhi jaun sitara sa sath rahta hai
wo shab-charagh jo us ki hawa mein raushan hai
Ghazal
Zamir-e-KHak shah-e-do-sara mein raushan hai
Abul Hasanat Haqqi

