اردو हिंदी
Zaminen jal rahin hain aur shajar sairab hain sare | Shaahi Shayari
zaminen jal rahin hain aur shajar sairab hain sare

Ghazal

Zaminen jal rahin hain aur shajar sairab hain sare

Moin Najmi

;

zaminen jal rahin hain aur shajar sairab hain sare
manazir is nagar ke kis qadar shadab hain sare

dhuen mein sans leti Tahniyon par chahchahate hain
parinde muKHtalif rango ke jo nayab hain sare

kahin suraj bhi qaidi hai kisi tarik zindan mein
kahin zarre bhi taban surat-e-mahtab hain sare

yahan aaseb ki tahwil mein hai nind ki dewi
yahan ke log KHwabon ke liye betab hain sare

dilon mein ek dukh sa hai gharon mein kuchh na hone ka
muhayya sari basti ko magar asbab hain sare