zamin se aage bhala jaana tha kahan main ne
uThae rakkha yunhi sar pe aasman main ne
kisi ke hijr mein shab se kalam karte hue
diye ki lau ko banaya tha ham-zaban main ne
shajar ko aag kisi aur ne lagai thi
na jaane sans mein kyun bhar liya dhuan main ne
kabhi to aaenge us samt se gulab o charagh
ye nahr yun hi nikali nahin yahan main ne
meri to aankh mera KHwab TuTne se khuli
na jaane panw dhara nind mein kahan main ne
Ghazal
Zamin se aage bhala jaana tha kahan maine
Afzal Gauhar Rao