اردو हिंदी
Zamin roi hamare haal par aur aasman roya | Shaahi Shayari
zamin roi hamare haal par aur aasman roya

Ghazal

Zamin roi hamare haal par aur aasman roya

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

;

zamin roi hamare haal par aur aasman roya
hamari bekasi ko dekh kar sara jahan roya

main jab nikla chaman se shabnam aab-e-gulistan roya
udasi chha gai aisi KHud aaKHir baghban roya

na aaya rahm kuchh bhi aah dil mein us sitamgar ke
hamari jabha-sai ke asar se aastan roya

har ek azw-e-badan matam-kunan hai dil ke jaane se
hua yusuf jo gum to karwan ka karwan roya

KHalal-afgan teri bazm-e-tarab mein kaun ho zalim
hua kya gar tere kuche mein koi tufta-e-jaan roya

mere aansu teri bedad ka parda na kholenge
abas ye bad-gumani hai main kab roya kahan roya

udu KHush hon to hon ai be-murawwat teri mahfil mein
mera to haal ye hai jab kabhi aaya yahan roya

jafa-e-dushmanan aur bewafai-ha-e-yaran se
bahut gham-dida ho kar 'wahshat'-e-azurda-jaan roya