zamin ko khinch ke main su-e-asman le jaun
ye dil ka dard hai is dard ko kahan le jaun
ye dil ajib si ek kashmakash se hai do-chaar
natija ek sa hoga ise jahan le jaun
yahan to gul bhi samate nahin in aankhon mein
bata kahan main ye chehra dhuan dhuan le jaun
likha to hai meri be-KHwab si in aankhon mein
main apne-ap ko duniya se raegan le jaun
yahan tak aa ke palaTna bhi mere bas mein nahin
main kis Thikane 'rawish' ab ye jism o jaan le jaun
Ghazal
Zamin ko khinch ke main su-e-asman le jaun
Shamim Ravish