zamin bichhai yahan aasman buland kiya
phir us ne ek sitare ko arjumand kiya
ajib rasta khulta chala gaya mujh par
jab ek raat dar-e-KHwab main ne band kiya
pukarte the mujhe aasman magar main ne
qayam karne ko ye KHak-dan pasand kiya
ajib baat thi ab ke mubarazat mein 'nadim'
ki mujh ko meri hazimat ne fath-mand kiya

Ghazal
Zamin bichhai yahan aasman buland kiya
Inam Nadeem