zamana yaad rakkhega tumhein ye kaam kar jaana
kisi afsurda chehre mein KHushi ke rang bhar jaana
kisi bhi hadse par us ki aankhen nam nahin hotin
isi haalat ko kahte hain miyan ehsas mar jaana
agar jaana zaruri hai to thoDa muskura bhi de
mujhe achchha nahin lagta tera ba-chashm-e-tar jaana
abhi bhi waqt hai baqi taDap paida karo warna
qayamat ki nishani hai duaon se asar jaana
shahadat ki jabin par aaj bhi raushan hai wo lamha
wo saat jis mein tha shabbir ka sajde mein sar jaana
kai aankhon ke dipak muntazir hain dil ki rahon mein
meri aawargi lazim hai mera ab to ghar jaana
ana ko bechna 'shayan' zillat ki nishani hai
ana ko bechne se to kahin behtar hai mar jaana
Ghazal
Zamana yaad rakkhega tumhein ye kaam kar jaana
Shayan Quraishi