zaKHmi hun tere nawak-e-duz-dida-nazar se
jaane ka nahin chor mere zaKHm-e-jigar se
hum KHub hain waqif tere andaz-e-kamar se
ye tar nikalta hai koi dil ke guhar se
phir aae agar jite wo kabe ke safar se
to jaano phire shaiKH-ji allah ke ghar se
sarmaya-e-ummid hai kya pas hamare
ek aah hai sine mein so na-ummid asar se
wo KHulq se pesh aate hain jo faiz-rasan hain
hain shaKH-e-samar-dar mein gul pahle samar se
hazir hain mere jazba-e-wahshat ke jilau mein
bandhe hue kohsar bhi daman ko kamar se
labrez mai-e-saf se hon jam-e-bilorin
zamzam se hai matlab na safa se na hajar se
ashkon mein bahe jate hain hum su-e-dar-e-yar
maqsud rah-e-kaba hai dariya ke safar se
fariyaad-e-sitam-kash hai wo shamshir-e-kashida
jis ka na ruke war falak ki bhi sipar se
khulta nahin dil band hi rahta hai hamesha
kya jaane ki aa jae hai tu is mein kidhar se
uf garmi-e-wahshat ki meri Thokaron hi mein
patthar hain pahaDon ke uDe jate sharar se
kuchh rahmat-e-bari se nahin dur ki saqi
roen jo zara mast to mai abr se barse
main kushta hun kis chashm-e-siyah-mast ka ya rab
Tapke hai jo masti meri turbat ke shajar se
nalon ke asar se mere phoDa sa hai pakta
kyun rim sada nikle na aahan ke jigar se
ai 'zauq' kisi hamdam-e-derina ka milna
behtar hai mulaqat-e-masiha-o-KHizar se
Ghazal
ZaKHmi hun tere nawak-e-duz-dida-nazar se
Sheikh Ibrahim Zauq