zaKHm sine pe laga aankh se aansu nikle
gham ki aahaT se kai dard ke aahu nikle
halqa-e-reg-e-rawan dasht ke dariya ka bhanwar
wahshat-e-dil ke safine mein agar tu nikle
bad-gumani ki nigahon se jo dekha hai tujhe
teri har baat mein sau tarah ke pahlu nikle
mahak uTThe ye bayaban bhi gulistan ki tarah
qaid-e-gulzar se aazad jo KHushbu nikle
is kaDi dhup mein tha kis ko safar ka yara
har qadam saya-kunan kakul-o-gesu nikle
sehr gul-kari-e-ehsas ka bais hain 'nadim'
dil mein jo tir gham-e-jaan ke taraazu nikle

Ghazal
ZaKHm sine pe laga aankh se aansu nikle
Salahuddin Nadeem