zaKHm ko phul kahen nauhe ko naghma samjhen
itne sada bhi nahin hum ki na itna samjhen
zaKHm ka apne mudawa kise manzur nahin
han magar kyun kisi qatil ko masiha samjhen
shoabada-bazi kisi ki na chalegi hum par
tanz o dushnam ko kahte ho latifa samjhen
KHud pe ye zulm gawara nahin hoga hum se
hum to shoalon se na guzrenge na sita samjhen
chhoDiye pairon mein kya lakDiyan bandhe phirna
apne qad se mera qad shauq se chhoTa samjhen
koi achchha hai to achchha hi kahenge hum bhi
log bhi kya hain zara dekhiye kya kya samjhen
hum to begane se KHud ko bhi mile hain 'bilqis'
kis tawaqqo pe kisi shaKHs ko apna samjhen
Ghazal
ZaKHm ko phul kahen nauhe ko naghma samjhen
Bilqis Zafirul Hasan