zaKHm khule paDte hain dil ke mausam hai ye bahaaron ka 
lala-o-gul ki baat nikalo zikr karo angaron ka 
hum dukhiyare un ke sahaare chaar-qadam hi chal lenge 
chand ka aaKHir hum kya lenge kya bigDega taron ka 
ek tabassum ek nigah KHamosh takallum wo bhi nahin 
kya hoga jine ka sahaara hum se dil-afgaron ka 
hum to Thahre gham ke mare jine ko ji hi lenge 
kya hoga dar-chashm-e-subu-bar-dosh chaman-bardaron ka 
dil hai lazzat-e-gham ka KHugar sunte hi chaunk uThta hai 
zikr koi jab chhiD jata hai un nazuk talwaron ka 
jashn-e-tarab ke unwan kitne phaile kitne aam hue 
tum hi kaho kuchh apni biti qissa dard ke maron ka 
tufani hai gham ki kahani phir wo kahan mauzu-e-ghazal 
baat banatunnash ki chheDo zikr karo mah-paron ka
        Ghazal
ZaKHm khule paDte hain dil ke mausam hai ye bahaaron ka
Sajjad Baqar Rizvi

