zaKHm-e-furqat ko teri yaad ne bharne na diya
gham-e-tanhai magar ruKH pe ubharne na diya
aaj bhi naqsh hain dil par teri aahaT ke nishan
hum ne us rah se auron ko guzarne na diya
tu ne jis roz se chhoDa ise KHali rakkha
main ne KHushiyon ko bhi is dil mein Thaharne na diya
rabt jo tujh se banaya so banae rakkha
tu hi kya tera tasawwur bhi bikharne na diya
zabt itna ki charaghon se hue mahw-e-kalam
yaad itni ki tujhe dil se utarne na diya
aaine toD diye jo bhi nazar se guzre
kisi mah-ru ko tere baad sanwarne na diya
Ghazal
ZaKHm-e-furqat ko teri yaad ne bharne na diya
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman