zaKHm dekhe na mere zaKHm ki shiddat dekhe
dekhne wala meri aankhon ki hairat dekhe
mujh pe aasan hai kahe lafz ka ifa karna
us ko mushkil hai to wo apni suhulat dekhe
dil liye jata hai phir ku-e-malamat ki taraf
aankh ko chahiye phir KHwab-e-hazimat dekhe
koi surat ho ki inkar se pahle aa kar
kis qadar us ki yahan par hai zarurat dekhe
dil tazabzub mein hi rahta hai ba-waqt-e-paiman
lafz dekhe ki ruKH-e-yar ki rangat dekhe
aankh bhar jati hai is kasrat-e-nazzara se
dil to har shakl mein bas ek shabahat dekhe
Ghazal
ZaKHm dekhe na mere zaKHm ki shiddat dekhe
Akram Mahmud