اردو हिंदी
Zahr ki chuTki hi mil jae barae dard-e-dil | Shaahi Shayari
zahr ki chuTki hi mil jae barae dard-e-dil

Ghazal

Zahr ki chuTki hi mil jae barae dard-e-dil

Anwar Shuoor

;

zahr ki chuTki hi mil jae barae dard-e-dil
kuchh na kuchh to chahiye baba dawa-e-dard-e-dil

raat ko aaram se hun main na din ko chain se
hae hae wahshat-e-dil hae hae dard-e-dil

dard-e-dil ne to hamein behaal kar ke rakh diya
kash koi aur gham hota bajae dard-e-dil

us ne hum se KHairiyat puchhi to hum chup ho gae
koi lafzon mein bhala kaise batae dard-e-dil

do balaen aaj kal apni sharik-e-haal hain
ek bala-e-dard-e-duniya ek bala-e-dard-e-dil

zindagi mein har tarah ke log milte hain 'shuur'
aashna-e-dard-e-dil na-ashna-e-dard-e-dil