zahr ke tir mere chaaron taraf khinchta hai
kya ajab shaKHs hai apnon pe hadaf khinchta hai
phir wahi dil mein udasi ke umaDte baadal
phir wahi silsila-e-KHak-o-KHazaf khinchta hai
phir wahi qahr wahi fitna-e-dajjal ke din
phir wahi qissa-e-ashab-e-kahaf khinchta hai
kaun si soi hui pyas ka rishta jaga
aaj kyun mujh ko ye sahra-e-najaf khinchta hai
kaun se log the zulmat ke sahraon mein
ki jinhen martaba-e-izz-o-sharf khinchta hai
Ghazal
Zahr ke tir mere chaaron taraf khinchta hai
Qamar Siddiqi

