zabt ki koshish hai jaan-e-na-tawan mushkil mein hai
kyun ayan ho aankh se wo gham jo pinhan dil mein hai
jis se chaho puchh lo tum mere soz-e-dil ka haal
shama bhi mahfil mein hai parwana bhi mahfil mein hai
ishq-e-ghaarat-gar ne shah di husn-e-afat-KHez ko
shauq-e-bismil hi se kas-bal bazu-e-qatil mein hai
kuchh samajh kar hi hua hun mauj-e-dariya ka harif
warna main bhi jaanta hun aafiyat sahil mein hai
KHud tujhe aa jaega aashiq-nawazi ka KHayal
tera rahraw kyun KHayal-e-duri-e-manzil mein hai
muddaa-e-ishq mera kuchh nahin juz zauq-e-ishq
husn ko hairat ki ye kis sai-e-be-hasil mein hai
apni shan-e-be-niyazi par tumhein kya kya hain naz
kash tum us shauq ko jaano jo mere dil mein hai
Ghazal
Zabt ki koshish hai jaan-e-na-tawan mushkil mein hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi