zaban pe KHud-baKHud arz-e-mohabbat aai jati hai
khule paDte hain arman zindagi sharmai jati hai
bulawe aa rahe hain manzilon ke sham se lekin
tamannaon ko in ki god mein nind aai jati hai
wo aae hain tasalli ke liye lekin ye aalam hai
nigahen nam hain lau aawaz ki tharrai jati hai
dimagh-o-dil ki sari kashmakash bekar-o-la-hasil
nashe ki tarah us ki yaad sab par chhai jati hai
nahin kuchh tere bais ye udasi bad-guman mat ho
jahan jata hun mere sath ye tanhai jati hai

Ghazal
Zaban pe KHud-baKHud arz-e-mohabbat aai jati hai
Mushtaq Naqvi