zaban ko band karen ya mujhe asir karen
mere KHayal ko beDi pinha nahin sakte
ye kaisi bazm hai aur kaise us ke saqi hain
sharab hath mein hai aur pila nahin sakte
ye bekasi bhi ajab bekasi hai duniya mein
koi satae hamein hum sata nahin sakte
kashish wafa ki unhen khinch lai aaKHir-kar
ye tha raqib ko dawa wo aa nahin sakte
jo tu kahe to shikayat ka zikr kam kar den
magar yaqin tere wadon pe la nahin sakte
charagh qaum ka raushan hai arsh par dil ke
use hawa ke farishte bujha nahin sakte
Ghazal
Zaban ko band karen ya mujhe asir karen
Chakbast Brij Narayan