zaban-e-KHalq pe aaya to ek fasana hua
wo lafz saut o sada se jo aashna na hua
bala-e-jaan bhi hai jaan-baKHsh bhi hai ishq-e-butan
ajal ko uzr mila zist ko bahana hua
teri nigah kiran thi to mera dil shabnam
teri nigah se bhi dil ka moamla na hua
ba-sad-KHulus raha sath zindagi bhar ka
muqabla bhi zamane se dostana hua
suna hai bazm mein teri hai tazkira mera
teri wafa ka taaruf bhi ghaebana hua
hum aise kho gae aaghaz mein KHabar hi nahin
ki bazm uTh gai kab KHatm kab fasana hua
har ek lamha kiya qarz zindagi ka ada
kuchh apna haq bhi tha hum par wahi ada na hua
Ghazal
Zaban-e-KHalq pe aaya to ek fasana hua
Waheed Akhtar