zat ki diwar bichon-bich ek dar wa hua
aaKHiri lamhon mein gar ho bhi gaya to kya hua
raqs mein madhosh ghaugha-e-surud-o-lai mein gum
kaun hai ye shiddat-e-azar se hansta hua
teri meri aankh ki miTTi hamesha nam rahe
ho abad se bhi pare ruKHsat ka pul phaila hua
baad az yak saat KHamosh matam KHatm shud
kyun kisi ke sog mein rukta zaman chalta hua
mere shanon par rida-e-abru-e-ishq hai
barish-e-namus-e-ulfat mein hai dil bhiga hua
wo ruka ruk kar muDa muD kar meri jaanib jhuka
umr ka dariya wahin tham sa gaya bahta hua
meri peshani pe daen hath ki angusht se
ek KHush-qamat ne apna nam hai likkha hua

Ghazal
Zat ki diwar bichon-bich ek dar wa hua
seemab zafar