zabton ki aur qadron ki rawani dekhna
phir hawa mein chaar-su ek bad-gumani dekhna
lamha lamha phailta hi ja raha hai chaar-su
shahr mein jangal ki ek din be-karani dekhna
chahta hai wo mujhe KHush dekhna har haal mein
chhin lega mujh se meri nauha-KHwani dekhna
aane wali aur abhi raaten hain tarik-o-muhib
aur utrengi balaen aasmani dekhna
dhup niklegi to bah niklenge phir se aabshaar
barf dohraegi phir apni kahani dekhna
apna ghar hum ne basaya hai lab-e-dariya to phir
baam-o-dar tak aaega ek roz pani dekhna
aaenge 'betab' mausam phir chanaron par nae
laenge rangon ki ek taza kahani dekhna
Ghazal
Zabton ki aur qadron ki rawani dekhna
Pritpal Singh Betab

