yurish-e-alam hai lekin mera dil ek hai
sainkaDon maujon ki zad mein aaj sahil ek hai
yun to hain lakhon hasin ulfat ke qabil ek hai
chaar-jaanib hain shuaen mah-e-kaamil ek hai
aah-e-sozan nala-e-shab-gir ya zabt-o-sukun
bad-nasibon ke liye in sab ka hasil ek hai
qais ho farhad ho wamiq ho ya mahmud ho
hain nigahen muKHtalif laila-e-mahmil ek hai
daman-e-har-mauj hi apna to sahil hai 'aziz'
kaun kahta hai ki bahr-e-gham mein sahil ek hai
Ghazal
Yurish-e-alam hai lekin mera dil ek hai
Aziz Warsi

