اردو हिंदी
Yunhi kar lete hain auqat basar apna kya | Shaahi Shayari
yunhi kar lete hain auqat basar apna kya

Ghazal

Yunhi kar lete hain auqat basar apna kya

Farooq Nazki

;

yunhi kar lete hain auqat basar apna kya
apne hi shahr mein hain shahr-badar apna kya

raat lambi hai chalo ghibat-e-yaran kar len
shab kisi taur to ho jae basar apna kya

duriyan fasle dushwar guzargahen hain
hai yahi shart-e-safar raKHt-e-safar apna kya

tujh se ab izn-e-takallum bhi agar mil jae
lab hilen ya na hilen aankh ho tar apna kya

jam phir taza karo raat bahut lambi hai
kuchh to karna hai miyan ta-ba-sahar apna kya