yunhi baiThe raho bas dard-e-dil se be-KHabar ho kar
bano kyun chaaragar tum kya karoge chaaragar ho kar
dikha de ek din ai husn-e-rangin jalwa-gar ho kar
wo nazzara jo in aankhon mein rah jae nazar ho kar
dil-e-soz-ashna ke jalwe the jo muntashir ho kar
faza-e-dahr mein chamka kiye barq o sharar ho kar
wahi jalwe jo ek din daman-e-dil se gurezan the
nazar mein rah gae gul-ha-e-daman-e-nazar ho kar
falak ki samt kis hasrat se takte hain maaz-allah
ye nale na-rasa ho kar ye aahen be-asar ho kar
ye kis ke husn ke rangin jalwe chhae jate hain
shafaq ki surKHiyan ban kar tajalli ki sahar ho kar
Ghazal
Yunhi baiThe raho bas dard-e-dil se be-KHabar ho kar
Asrar-ul-Haq Majaz