yun zindagi ke mani kisi ne bata diye
tum ret pe do harf likhe aur miTa diye
kaise kahun ki kitna wo khul kar mila hai aaj
sharm-o-haya ke sare parinde uDa diye
dushman se haar-jit ka hona tha faisla
to wapsi ke hum ne safine jala diye
tu baKHsh ya na baKHsh tujhe iKHtiyar hai
guzrenge tere dar se na hum bin sada diye
'faruq' un se koi shikayat nahin rahi
aankhen milin to dhire se wo muskura diye

Ghazal
Yun zindagi ke mani kisi ne bata diye
Farooq rahman