yun to kahne ko hum adu bhi nahin
han magar us se guftugu bhi nahin
wo to KHwabon ka shahzada tha
ab magar us ki justuju bhi nahin
wo jo ek aaina sa lagta hai
sach to ye hai ki ru-ba-ru bhi nahin
ek muddat mein ye hua malum
main wahan hun jahan ki tu bhi nahin
ek bar us se mil to lo 'sarwat'
hai magar itna tund-KHu bhi nahin

Ghazal
Yun to kahne ko hum adu bhi nahin
Noor Jahan Sarwat