yun to dekhi hain mere yar sabhi ki aankhen
us ki aankhon si kahan aur kisi ki aankhen
wo to parbat ki bulandi ko bhula baiThi hai
gum hain yun tere ubhaaron mein nadi ki aankhen
us ki gardan ke sabhi tauq utar jate hain
jis pe uTh jati hain ek bar wali ki aankhen
bas teri rah mein luTne ko tule baiThe hain
kisi lamhe ka badan ho ki sadi ki aankhen
hijr ka waqt batati hai hamesha 'noman'
dekhta hun main jo har bar ghaDi ki aankhen

Ghazal
Yun to dekhi hain mere yar sabhi ki aankhen
Noman Farooq