yun tere mast sar-e-rah chala karte hain
jaise shahan-e-falak-e-jah chala karte hain
gham-e-duniya gham-e-jaanan gham-e-manzil gham-e-rah
kitne gham zist ke hamrah chala karte hain
dil bhi kya rahguzar hai ki hamesha jis mein
zohra-o-mustari-o-mah chala karte hain
ye to rindon ki gali hai idhar ai shaiKH kahan
aisi rahon mein to gumrah chala karte hain
gham-e-dauran ki kaDi dhup mein chalne wale
ba-tamanna-e-shab-e-mah chala karte hain
hum ko chalna hai jo gulshan mein to is tarah chalen
jaise gulshan ke hawa-KHwah chala karte hain
yaad-e-mazi gham-e-imroz umid-e-farda
kitne sae mere hamrah chala karte hain
wadi-e-dil hai qadam soch ke rakhna ki 'shamim'
tez is rah mein nagah chala karte hain

Ghazal
Yun tere mast sar-e-rah chala karte hain
Shamim Karhani