yun tere husn ki taswir ghazal mein aae
jaise bilqis suleman ke mahal mein aae
jabr se ek hua zaeqa-e-hijr-o-visal
ab kahan se wo maza sabr ke phal mein aae
ye bhi aaraish-e-hasti ka taqaza tha ki hum
halqa-e-fikr se maidan-e-amal mein aae
har qadam dast-o-gareban hai yahan KHair se shar
hum bhi kis marka-e-jang-o-jadal mein aae
zindagi jin ke tasawwur se jila pati thi
hae kya log the jo dam-e-ajal mein aae
Ghazal
Yun tere husn ki taswir ghazal mein aae
Nasir Kazmi