yun sitam Dhae gae hain tere diwane par
zaKHm KHud girya-kunan hai mere afsane par
mujh ko yaksar hi alag rahna paDa hai tum se
aisa hota hai kahin ishq ke mar jaane par
pahle yak-laKHt chale aate the milne ke liye
ab tawajjoh bhi nahin hai mere chillane par
sozish-e-gham ka charaghon ko kahan andaza
raat chiKH uThti hai jalte hue parwane par
main samajhta tha mera dil hai meri manega
usi kafir ka hua jata hai samjhane par
dard-e-furqat hi meri maut ka saman hai 'qamar'
dil kisi taur bahalta nahin bahlane par

Ghazal
Yun sitam Dhae gae hain tere diwane par
Qamar Abbas Qamar