yun pahunchna hai mujhe ruh ki tughyani tak
jis tarah rassi se jata hai ghaDa pani tak
kaTni paDti hai naKHun se takan ki zanjir
yun hi aati nahin mushkil koi aasani tak
zindagi tujh se banae hue rishte ki hawas
mujh ko le aai hai duniya ki pareshani tak
aise jarrahon ka qabza hai suKHan par afsos
kar nahin sakte jo lafzon ki musalmani tak
apne andar main kiya karta hun raja ki talash
is wasile se pahunchna hai mujhe rani tak
aise lafzon ko bhi be-aib banaya hum ne
jin ki jaez hi nahin hoti thi qurbani tak
husn ka panw dabaati hai jahan shoKH hawa
ishq le aaya hai mujh ko isi virani tak
'faiz' hum log hain ek aisi kachehri ke wakil
faujdari se pahunchte hain jo diwani tak

Ghazal
Yun pahunchna hai mujhe ruh ki tughyani tak
Faiz Khalilabadi