yun na rah rah kar hamein tarsaiye
aaiye aa jaiye aa jaiye
phir wahi danista Thokar khaiye
phir meri aaghosh mein gir jaiye
meri duniya muntazir hai aap ki
apni duniya chhoD kar aa jaiye
ye hawa saghar ye halki chandni
ji main aata hai yahin mar jaiye

Ghazal
Yun na rah rah kar hamein tarsaiye
Saghar Nizami