yun log chaunk chaunk kar ungli uThae hain
jaise hum aaj pahle-pahal muskurae hain
aksar khuli fazaon mein bhi sansanae hain
hum par hamare ghar ne wo patthar chalae hain
ai mauj-e-gul idhar ka abhi ruKH na kijiyo
kuchh log taza taza bayaban mein aae hain
mahrumiyon ke zahr se hum kab ke mar chuke
ye to ab apne jism ka lasha uThae hain
han hum ko e'tiraf hai is ka ki zist ko
aadab hum ne jurm-e-wafa ke sikhae hain
dauDe hain log sang-e-taghaful liye hue
hum jab bhi apne shahr ke nazdik aae hain
fursat kahan nasib qayam-o-qarar ki
hum log waqt-e-sham daraKHton ke sae hain
is darja bhiD itni ghuTan hai ki al-aman
yaadon ka shahr chhoD ke hum bhag aae hain
virana-e-KHayal ki wahshat na kam hui
haalanki baat baat pe hum muskurae hain
chehre pe paD rahi hai teri be-ruKHi ki dhup
sine mein har taraf teri yaadon ke sae hain
raftar-e-zindagi hai ki mange hai bijliyan
hum hain ki be-hisi ko gale se lagae hain
yaron ko haal wadi-e-ghurbat ka kya likhen
mahsus ho raha hai hum apne ghar aae hain
zabt-e-gham-e-hayat bhi jin ko na pi saka
'nazish' wo ashk hum ne ghazal mein chhupae hain
Ghazal
Yun log chaunk chaunk kar ungli uThae hain
Nazish Partap Gadhi