yun laga dekh ke jaise koi apna aaya
thi nigahon mein jo surat koi waisa aaya
din guzare to bahut kaT diye mah-o-sal
apne ghar mein na koi aap ke jaisa aaya
aisa mahaul ki pal bhar na jahan ruk pae
kya kabhi aap ko is tarah bhi jina aaya
jo kiya hum ne wo sab tum ne bhulaya kaise
itne ehsanon ka badla na chukana aaya
zindagi kaT di KHud apni hi tarifon mein
dusra kya hai samajhna bhi na itna aaya
tursh-rui se mila aap ko kya kya ab tak
aap ko ye bhi to ab tak na samajhna aaya
hai KHuda ek to phir kis ki parastish karte
dusra nam 'wasiya' ko na japna aaya

Ghazal
Yun laga dekh ke jaise koi apna aaya
Fatima wasia Jayasi